Itne bade aasmman main se,
Kona ek hamain de deti,
Koi naam tumhain ham dete,
Koi naam hamain de deti.
Kona ek hamain de deti,
Koi naam tumhain ham dete,
Koi naam hamain de deti.
Itne khel khel leti ho,
Khilti ho khushboo deti ho,
Kahatee yaa, choodi khanakaa kar,
Man ki baat zaraa keh deti
Khilti ho khushboo deti ho,
Kahatee yaa, choodi khanakaa kar,
Man ki baat zaraa keh deti
Tumse kuch poochain to kaise,
Kaise kahen kaho to yaara,
The na jab jawab zabaan par,
Binaa sawalon ke de deti
Kaise kahen kaho to yaara,
The na jab jawab zabaan par,
Binaa sawalon ke de deti
Dekhi maut paas se tab se,
Hamko jeene ki sudh aayee,
Khushi kahaan hai dhoond rahe hain,
Apanaa saath zaraa de deti.
Hamko jeene ki sudh aayee,
Khushi kahaan hai dhoond rahe hain,
Apanaa saath zaraa de deti.
Sabhi qaayade aur kitaaben,
Jeene ke raste kahate hain,
Jaan kahaan hai jaan gayee ho,
Hans kar haath zaraa de deti !
Jeene ke raste kahate hain,
Jaan kahaan hai jaan gayee ho,
Hans kar haath zaraa de deti !
-------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
Taken from blog of Raj ji
No comments:
Post a Comment
Please give your comments !!